tu kuja man kuja
Posted on: April 21, 2013
- In: Life
- Leave a Comment
Azr kron
nazar kron
sun lo myri
khudai kay malik
Kam sini
Posted on: February 9, 2013
- In: Life
- Leave a Comment
Kam sini ka khayal rakho
itnay waday achay nahi
go jag ratay haseen hain per
kachay khawab sachay nahi
Mann ko phir halka kro…
Halkay mann sey socho gay…
danista kuch mil jae ga…
waqt ka silsila ruk jae ga…
Kam sini ki baton pe…
itrana tu hota hai…
tu Kam sini ka khayal rakho
Naat
Posted on: December 19, 2012
- In: in Lahore | Life
- Leave a Comment
Choo Mah Dar Arzo Saman Taaban Tui Taban Tui
Rashke Malak Noore Khuda Insaan Tui Insaan Tui
Roshan Ze Rooyat Do Jahan Akse Ruqat Khursheed-o-Maan
Aye Noore Zaate Kibriya Rakhshaan Tui Rakhshaan Tui
Ayat-e-Quran Abroyat Tafseer-e-Quran Gaisuyat
Aye Roo-e-Tou Quran-e-Maan Iman Tui Iman Tui
Ya Mustafa Ya Mujataba Irhamlana Irhamlana
Dast-e-Hamaan Becharara Damaan Tui Damaan Tui
Man Asiyam Man Ajizam Man Bekasam Haal-e-Maraa
Ya Shafe-e-Roze Jaza Pursan Tui Pursan Tui
Jami Ravad Az Chashme Maan Jalwa Numaan Behre Khuda
Jano Dilam Har do Fida Jaana Tui Jaana Tui
- Maulana Jami
Dead
Posted on: October 29, 2012
- In: Life
- Leave a Comment
Dil ko dard howa itna k moeen
chaha k sab ko he is ki khabar ho
Kahayn? keh tu dein sab ko
dard kisi ka, kia kisi ko fikar ho
Ik doost ik sath kehtay rehay jis
sonay na jo samjh he na kafi ho
koi joon ki tabdili ki baat kro
koi safai e hasst ki baat ho
har saasn ki qeemat do gae
koi mool ki bhee tu baat ho
Dost
Posted on: June 1, 2012
- In: Life
- Leave a Comment
kon kehta hai k wehshat mein hosh nahi rehta
wehshat mein asal mein dost dost nahi rehta
daman shouk sey bahir jae tu
aksar shouq ka bhee shouq nahi rehta
Dekhata rahon ga tum ko nazaray
husn bohut arsay nazar mein nahi rehta
moeen miltay nahi aj kal bohut busy ho
koe dost apni fikar mein nahi rehta
sapna
Posted on: June 1, 2012
- In: Life
- Leave a Comment
Kufar ka sapna bhee sach howa
Fuqar ka sapna bhee sach howa
mit gae nishan e hizno malaal
ishaq ka sapna bhee sach howa
ab reh gae teri deed k waday
khawabon ka sapna bhee sach howa
ajnaabi mehfil mein tu hass pare
gul afshani ka sapna sach howa
ghalib ki baat bhee tasleem hoi
moeen ka sapna bhee sach howa
tamaash been baythay rahay bad mehfil
insaaniyat ka sapna bhee sach howa
aj howa yun k hamsafar bol para
khizar ka sapna bhee sach howa
na bald hon kia pochtay ho,
ilm ka sapna bhee sach howa
hum sapno k sodagar nikalay
sodagari ka sapna bhee sach howa
Subha jab ai
Posted on: May 9, 2012
- In: Life
- Leave a Comment
hai subha jab ai,
naveed e nu roz lai,
mehak uthay hain daman,
har chehray pe bahar ai
dehkien ik dosray ko parinday,
hassi ye kis ki khilkhilai
itnay mein Saba nay zor pakra,
dali dali, jhoom k gungunai
Recent Comments